Chal iss safar ko aazmaalein ..
Agar gehraiyon se naa tujhko hai darr,
toh aa mere saath chal, is safar ko aazmale..
Ghatiyan toh bahot aayengi safar mein,
chal apne honsale se mera honsala mila le ..
Agar gir kar tune hai bhi hai chalna seekha,
toh aa mere saath chal, is safar ko aazmale..
Thokaren to dastur hai safar ka,
kuch mera haanth tham kuch apna haanth badhale ..
Agar dhup se do-do haanth karne se nhi ghabrata tu,
toh aa mere saath chal, iss safar ko aazmale..
Aakhir jung hi toh hai zindagi,
kabhi meri chawn ban kabhi mujhe chawn bnale.
Safar ke ant mein musafir yeh sharir vilupt ho jayega,
agar phir bhi saath rehne ka honsla rakhta hai tu,
toh aa mere saath chal iss safar ko aazmale.
Ik kadam main aage badhaun, dusra tu bhi badhale ..